safar tha thoDa magar kitne moD aae the
safar thā thoḌā magar kitne moḌ aa.e the
ka.ī kahāniyāñ ham in meñ chhoḌ aa.e the
maiñ un parindoñ ko rotā huuñ jo falak ke liye
zamīñ se apnā ta'alluq hī toḌ aa.e the
savāl sūkhe hue āñsuon kā uljhā rahā
hisāb vaise to ham saarā joḌ aa.e the
koī malāl hameñ ab rulā nahīñ saktā
ham ek dard pe āñkheñ nichoḌ aa.e the
ġhubār chhā gayā har chiiz par to hairat kyā
darīche bhī to khule ham hī chhoḌ aa.e the
safar tha thoDa magar kitne moD aae the
kai kahaniyan hum in mein chhoD aae the
main un parindon ko rota hun jo falak ke liye
zamin se apna ta'alluq hi toD aae the
sawal sukhe hue aansuon ka uljha raha
hisab waise to hum sara joD aae the
koi malal hamein ab rula nahin sakta
hum ek dard pe aankhen nichoD aae the
ghubar chha gaya har chiz par to hairat kya
dariche bhi to khule hum hi chhoD aae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.