Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safed kale hare gulabi ya nile pile uchhaal dena

Kanupriya

safed kale hare gulabi ya nile pile uchhaal dena

Kanupriya

MORE BYKanupriya

    safed kaale hare gulābī niile piile uchhāl denā

    umiid be-rang dikhe to ye rang saare uchhāl denā

    tum apne lahje sādgī ko binā bigāḌe uchhāl denā

    amaañ ḳhatoñ ḳhayāl chhoḌo havā meñ bose uchhāl denā

    udāsiyoñ ke nagar ke aage koī to dariyā zarūr hogā

    jahāñ duāoñ sūratoñ meñ tum apne sikke uchhāl denā

    kisī ke dil meñ tum is tarah se utarnā jaise nadī meñ chandā

    phir us āñkhoñ samt saare falak ke taare uchhāl denā

    vo apne ġham se hatāsh ho kar kahīñ na apnī jaan le le

    so ham ḳhudā se kaheñge us ke ġhamoñ ko ham pe uchhāl denā

    mirī hayāt-o-suḳhan vus.at tavīl hai lā-suḳhan hai phir bhī

    koī jo pūchhe mirī kahānī to mere misre uchhāl denā

    safed kale hare gulabi ya nile pile uchhaal dena

    umid be-rang si dikhe to ye rang sare uchhaal dena

    tum apne lahje ki sadgi ko bina bigaDe uchhaal dena

    aman KHaton ka KHayal chhoDo hawa mein bose uchhaal dena

    udasiyon ke nagar ke aage koi to dariya zarur hoga

    jahan duaon ki suraton mein tum apne sikke uchhaal dena

    kisi ke dil mein tum is tarah se utarna jaise nadi mein chanda

    phir us ki aankhon ki samt sare falak ke tare uchhaal dena

    wo apne gham se hatash ho kar kahin na apni hi jaan le le

    so hum KHuda se kahenge us ke ghamon ko hum pe uchhaal dena

    meri hayat-o-suKHan ki wusat tawil hai la-suKHan hai phir bhi

    koi jo puchhe meri kahani to mere misre uchhaal dena

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now