safedi KHayalon mein aane lagi hai
safedī ḳhayāloñ meñ aane lagī hai
magar ek ḳhvāhish abhī tak harī hai
chalī hai ye vālid ke naqsh-e-qadam par
mirī shā.irī mere ġham par ga.ī hai
jise zindagī zindagī kah rahe ho
tumheñ jānib-e-qabr kyoñ le chalī hai
maiñ ġham kā taḳhallus ḳhushī rakh rahā huuñ
mirī ziist āḳhir meñ yuuñ hañs paḌī hai
safedi KHayalon mein aane lagi hai
magar ek KHwahish abhi tak hari hai
chali hai ye walid ke naqsh-e-qadam par
meri shairi mere gham par gai hai
jise zindagi zindagi kah rahe ho
tumhein jaanib-e-qabr kyon le chali hai
main gham ka taKHallus KHushi rakh raha hun
meri zist aaKHir mein yun hans paDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.