sag-e-jamal hun gardan se bandh kar le ja
sag-e-jamāl huuñ gardan se bāñdh kar le jā
jamāl-e-yār mujhe aaj sair par le jā
tere laboñ kā tabassum bhī to rahā huuñ kabhī
banā huuñ ashk to palkoñ pe Taañk kar le jā
sameT kar mujhe rakh le ki terā dard huuñ maiñ
tirā hī aib huuñ mujh ko chhupā ke ghar le jā
khubā huā hai tirā husn merī āñkhoñ meñ
nikāl kar mirī āñkhoñ se neshtar le jā
maiñ sañg-dil huuñ to ik roz ḳhāna-e-dil meñ
lage hue haiñ jo patthar ukhāḌ kar le jā
bichhaḌ rahā hai to apnī nishāniyāñ bhī sameT
ab apne saath hī ye kū-e-bām-o-dar le jā
sag-e-jamal hun gardan se bandh kar le ja
jamal-e-yar mujhe aaj sair par le ja
tere labon ka tabassum bhi to raha hun kabhi
bana hun ashk to palkon pe Tank kar le ja
sameT kar mujhe rakh le ki tera dard hun main
tera hi aib hun mujh ko chhupa ke ghar le ja
khuba hua hai tera husn meri aankhon mein
nikal kar meri aankhon se neshtar le ja
main sang-dil hun to ek roz KHana-e-dil mein
lage hue hain jo patthar ukhaD kar le ja
bichhaD raha hai to apni nishaniyan bhi sameT
ab apne sath hi ye ku-e-baam-o-dar le ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.