sah chuka tirgi na wapas aa
sah chukā tīrgī na vāpas aa
kaT ga.ī zindagī na vāpas aa
ab mujhe sabr aa gayā hai dost
ab tū chāhe kabhī na vāpas aa
sochtā hogā vo bhī apnī jagah
kartā rah shā.irī na vāpas aa
mil rahā hai to puure qad se mil
is tarah sarsarī na vāpas aa
kaam par dhyān de rahā huuñ maiñ
mehrbānī tirī na vāpas aa
apnī marzī se aa gayā varna
kah rahe the sabhī na vāpas aa
sah chuka tirgi na wapas aa
kaT gai zindagi na wapas aa
ab mujhe sabr aa gaya hai dost
ab tu chahe kabhi na wapas aa
sochta hoga wo bhi apni jagah
karta rah shairi na wapas aa
mil raha hai to pure qad se mil
is tarah sarsari na wapas aa
kaam par dhyan de raha hun main
mehrbani teri na wapas aa
apni marzi se aa gaya warna
kah rahe the sabhi na wapas aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.