sahafi KHud ko jo batla rahe hain
sahāfī ḳhud ko jo batlā rahe haiñ
dalālī kī kamā.ī khā rahe haiñ
baġhāvat duur kī kauḌī hai vo to
mazammat tak nahīñ kar pā rahe haiñ
sazā to ho chukī hai tai hamārī
abhī bas jurm soche jā rahe haiñ
daġhā se baaz aao miir 'jā'far'
hamāre log maare jā rahe haiñ
jahāñ har shaḳhs murda ho chukā thā
ham aise daur meñ zinda rahe haiñ
sahafi KHud ko jo batla rahe hain
dalali ki kamai kha rahe hain
baghawat dur ki kauDi hai wo to
mazammat tak nahin kar pa rahe hain
saza to ho chuki hai tai hamari
abhi bas jurm soche ja rahe hain
dagha se baz aao mir 'ja'far'
hamare log mare ja rahe hain
jahan har shaKHs murda ho chuka tha
hum aise daur mein zinda rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.