sahaara de nahin sakte shikasta panw ko
sahaara de nahin sakte shikasta panw ko
Akhtar Ansari Akbarabadi
MORE BYAkhtar Ansari Akbarabadi
sahārā de nahīñ sakte shikasta paañv ko
haTāo rāh-e-mohabbat se rahnumāoñ ko
banā rahā huuñ hasīñ aur mah-laqāoñ ko
sajā rahā huuñ maiñ āfāq kī fazāoñ ko
nazar nazar se milātā huuñ muskurātā huuñ
junūñ kī shaan dikhātā huuñ dil-rubāoñ ko
qadam qadam pe na.e inqalāb raqsāñ haiñ
duā.eñ dete haiñ ham aap kī adāoñ ko
milā jo dāman-e-sāhil to aisī mauj aa.ī
safīne sauñp diye ham ne nā-ḳhudāoñ ko
nigāh pherne vāloñ se pūchhtā huuñ maiñ
tum āzmāoge kab tak mirī vafāoñ ko
abhī to dasht-o-daman meñ bahār aa.ī hai
abhī chaman meñ khilāne haiñ gul havāoñ ko
chale haiñ jānib-e-dār-o-rasan ḳharābātī
gunah kā rañg dikhānā hai pārsāoñ ko
har ek lamha-e-nau kā ab ehtirām karo
nayā payām do 'aḳhtar' na.ī fazāoñ ko
sahaara de nahin sakte shikasta panw ko
haTao rah-e-mohabbat se rahnumaon ko
bana raha hun hasin aur mah-laqaon ko
saja raha hun main aafaq ki fazaon ko
nazar nazar se milata hun muskuraata hun
junun ki shan dikhata hun dil-rubaon ko
qadam qadam pe nae inqalab raqsan hain
duaen dete hain hum aap ki adaon ko
mila jo daman-e-sahil to aisi mauj aai
safine saunp diye hum ne na-KHudaon ko
nigah pherne walon se puchhta hun main
tum aazmaoge kab tak meri wafaon ko
abhi to dasht-o-daman mein bahaar aai hai
abhi chaman mein khilane hain gul hawaon ko
chale hain jaanib-e-dar-o-rasan KHarabaati
gunah ka rang dikhana hai parsaon ko
har ek lamha-e-nau ka ab ehtiram karo
naya payam do 'aKHtar' nai fazaon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.