sahaare bhi uske kinare bhi uske
sahāre bhī us ke kināre bhī us ke
magar ham jo Duube ishāre bhī us ke
yahāñ log saare ke saare hī us ke
jo us ke vo us ke hamāre bhī us ke
falak bhī ye saarā usī ke havāle
vo ḳhud chāñd hai hī sitāre bhī us ke
natīje ye saare hī haiñ us ke haq meñ
jo jiite vo us ke jo haare bhī us ke
kareñ to kareñ kyā ki rasta nahīñ kuchh
usī kā hai ġham ġham ke maare bhī us ke
sahaare bhi us ke kinare bhi us ke
magar hum jo Dube ishaare bhi us ke
yahan log sare ke sare hi us ke
jo us ke wo us ke hamare bhi us ke
falak bhi ye sara usi ke hawale
wo KHud chand hai hi sitare bhi us ke
natije ye sare hi hain us ke haq mein
jo jite wo us ke jo haare bhi us ke
karen to karen kya ki rasta nahin kuchh
usi ka hai gham gham ke mare bhi us ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.