sahaj hi dam-ba-dam aahista aahista
sahaj hī dam-ba-dam āhista āhista
bichhaḌ jā.eñge ham āhista āhista
bhulānā chāhte haiñ jald hī us ko
magar chaḌhtī hai rum āhista āhista
bahut pahle se mahv-e-raqs hote haiñ
pakaḌte haiñ rhythm āhista āhista
nahīñ be-sabr hone se nahīñ hogā
ravāñ hogā ye nam āhista āhista
du'ā.eñ vo jo in hoñThoñ pe hotī haiñ
asar kartī haiñ kam āhista āhista
ik us kī zulf aur apnī tabī'at ke
khuleñge pech-o-ḳham āhista āhista
maiñ Thahrā ābla-pā kuchh to merā soch
subuk-pā ham-qadam āhista āhista
sahaj hi dam-ba-dam aahista aahista
bichhaD jaenge hum aahista aahista
bhulana chahte hain jald hi us ko
magar chaDhti hai rum aahista aahista
bahut pahle se mahw-e-raqs hote hain
pakaDte hain rhythm aahista aahista
nahin be-sabr hone se nahin hoga
rawan hoga ye nam aahista aahista
du'aen wo jo in honThon pe hoti hain
asar karti hain kam aahista aahista
ek us ki zulf aur apni tabi'at ke
khulenge pech-o-KHam aahista aahista
main Thahra aabla-pa kuchh to mera soch
subuk-pa ham-qadam aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.