sahar be-sabaati ko hum kam na samjhe
sahar be-sabaati ko hum kam na samjhe
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
'sahar' be-sabātī ko ham kam na samjhe
ḳhushī ko ḳhushī ġham ko ham ġham na samjhe
junūñ ke taqāze ḳhirad ke ishāre
kabhī tum na samjhe kabhī ham na samjhe
tujhe ham masīhā-nafas dar-haqīqat
na samjhe agar ibn-e-mariyam na samjhe
mohabbat kā aalam ḳhudā.ī kā aalam
na samjhe agar tum ye aalam na samjhe
'sahar' us se phir koī kyoñ kar nibāhe
jo ahd-e-mohabbat ko mohkam na samjhe
'sahar' be-sabaati ko hum kam na samjhe
KHushi ko KHushi gham ko hum gham na samjhe
junun ke taqaze KHirad ke ishaare
kabhi tum na samjhe kabhi hum na samjhe
tujhe hum masiha-nafas dar-haqiqat
na samjhe agar ibn-e-mariyam na samjhe
mohabbat ka aalam KHudai ka aalam
na samjhe agar tum ye aalam na samjhe
'sahar' us se phir koi kyon kar nibahe
jo ahd-e-mohabbat ko mohkam na samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.