sahar hote hi ahl-e-anjuman ko nind si aai
sahar hote hī ahl-e-anjuman ko niiñd sī aa.ī
añdhere aur gahre ho ga.e jab raushnī aa.ī
dam-e-sair-e-chaman aksar ye manzar ham ne dekhā hai
jidhar tum the udhar phūloñ ke ruḳh par tāzgī aa.ī
sivā.e shorish-e-parvāz sab kuchh hai gulistāñ meñ
bahār aa.ī magar ik daam phailātī huī aa.ī
abhī tak maut se miltā huā ik nashsha taarī thā
tum aa.e zindagī kā hosh aayā zindagī aa.ī
maiñ tark-e-ishq par nāzāñ thā lekin vāqi.a ye hai
ki aaj un kā ḳhayāl aayā to apnī yaad bhī aa.ī
sabab kuchh aur thā merī musalsal tishna-kāmī kā
maiñ ye samjhā ki saaqī kī tavajjoh meñ kamī aa.ī
añdhere meñ haiñ kitne tishnigān-e-mai-kadā 'shāhid'
jahāñ tak daur-e-jām aayā vahīñ tak raushnī aa.ī
sahar hote hi ahl-e-anjuman ko nind si aai
andhere aur gahre ho gae jab raushni aai
dam-e-sair-e-chaman aksar ye manzar hum ne dekha hai
jidhar tum the udhar phulon ke ruKH par tazgi aai
siwae shorish-e-parwaz sab kuchh hai gulistan mein
bahaar aai magar ek dam phailati hui aai
abhi tak maut se milta hua ek nashsha tari tha
tum aae zindagi ka hosh aaya zindagi aai
main tark-e-ishq par nazan tha lekin waqia ye hai
ki aaj un ka KHayal aaya to apni yaad bhi aai
sabab kuchh aur tha meri musalsal tishna-kaami ka
main ye samjha ki saqi ki tawajjoh mein kami aai
andhere mein hain kitne tishnigan-e-mai-kada 'shahid'
jahan tak daur-e-jam aaya wahin tak raushni aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.