sahar jab muskurai tab kahin taron ko nind aai
sahar jab muskurā.ī tab kahīñ tāroñ ko niiñd aa.ī
bahut mushkil se kal shab dard ke māroñ ko niiñd aa.ī
sunā hai shaam se hī taak meñ baiThe haiñ sab gulchīñ
qayāmat gul pe aa.egī agar ḳhāroñ ko niiñd aa.ī
hamesha zehn-o-dil meñ kuchh na kuchh chaltā hī rahtā hai
hue jo fikr se ḳhālī to fankāroñ ko niiñd aa.ī
azal se puurī shiddat se ḳhalāoñ meñ muallaq haiñ
kabhī tum ne sunā hai ye ki sayyāroñ ko niiñd aa.ī
musalsal nāz-bardārī se aajiz aa chukā thā maiñ
chalo achchhā huā kam-baḳht āzāroñ ko niiñd aa.ī
ye taḳhlīqī anāsir varna masrūf-e-amal hī the
ga.ī jo ruuh us aalam meñ to chāroñ ko niiñd aa.ī
vagarna 'shād' be-ḳhvābī meñ guzrī zindagī un kī
rukā jab kārvān-e-zīst banjāroñ ko niiñd aa.ī
sahar jab muskurai tab kahin taron ko nind aai
bahut mushkil se kal shab dard ke maron ko nind aai
suna hai sham se hi tak mein baiThe hain sab gulchin
qayamat gul pe aaegi agar KHaron ko nind aai
hamesha zehn-o-dil mein kuchh na kuchh chalta hi rahta hai
hue jo fikr se KHali to fankaron ko nind aai
azal se puri shiddat se KHalaon mein muallaq hain
kabhi tum ne suna hai ye ki sayyaron ko nind aai
musalsal naz-bardari se aajiz aa chuka tha main
chalo achchha hua kam-baKHt aazaron ko nind aai
ye taKHliqi anasir warna masruf-e-amal hi the
gai jo ruh us aalam mein to chaaron ko nind aai
wagarna 'shad' be-KHwabi mein guzri zindagi un ki
ruka jab karwan-e-zist banjaron ko nind aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.