sahar ka hosh nahin sham ka KHuda-hafiz
sahar kā hosh nahīñ shaam kā ḳhudā-hāfiz
ye ibtidā hai to anjām kā ḳhudā-hāfiz
sunā na paa.e the ham aur vo muskurā baiThe
hikāyat-e-dil-e-nākām kā ḳhudā-hāfiz
qarār luTtā hai phir bhī duā.eñ detā huuñ
ki jaane vaale ke har gaam kā ḳhudā-hāfiz
hameñ to saḳhtī-e-rāh-e-hayāt raas aa.ī
subuk-ravān-e-rah-e-ām kā ḳhudā-hāfiz
nazar ne chheḌā fasāna to hashr jaag uThā
ma.āl-e-nāma-o-paiġhām kā ḳhudā-hāfiz
koī guzar to rahā hai nazar churā.e hue
tajalliyāt-e-dar-o-bām kā ḳhudā-hāfiz
dhuāñ charāġh-e-haram kā hai ġhāza-e-ruḳhsār
nazāra-sāzī-e-asnām kā ḳhudā-hāfiz
nazar milāne lage bul-havas bhī 'jauhar' se
janāb ke karam-e-ām kā ḳhudā-hāfiz
sahar ka hosh nahin sham ka KHuda-hafiz
ye ibtida hai to anjam ka KHuda-hafiz
suna na pae the hum aur wo muskura baiThe
hikayat-e-dil-e-nakaam ka KHuda-hafiz
qarar luTta hai phir bhi duaen deta hun
ki jaane wale ke har gam ka KHuda-hafiz
hamein to saKHti-e-rah-e-hayat ras aai
subuk-rawan-e-rah-e-am ka KHuda-hafiz
nazar ne chheDa fasana to hashr jag uTha
maal-e-nama-o-paigham ka KHuda-hafiz
koi guzar to raha hai nazar churae hue
tajalliyat-e-dar-o-baam ka KHuda-hafiz
dhuan charagh-e-haram ka hai ghaza-e-ruKHsar
nazara-sazi-e-asnam ka KHuda-hafiz
nazar milane lage bul-hawas bhi 'jauhar' se
janab ke karam-e-am ka KHuda-hafiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.