sahar ka nur mera rang-e-sham hai mera
sahar kā nuur mirā rang-e-shām hai merā
unhīñ ke husn kā partav kalām hai merā
tirī nigāh ne jis meñ sharāb chhalkā.ī
kisī ke haath meñ bhī ho vo jaam hai merā
zahe-nasīb ki aaj un hasīn āñkhoñ meñ
har ek ashk-e-daraḳhshāñ pe naam hai merā
mujhe guzishta-o-ā.inda kā malāl ho kyoñ
mizāj-e-gardish-e-daurāñ ġhulām hai merā
azīz-e-misr-e-suḳhan huuñ suḳhnavaroñ se kaho
savād-e-shahr-e-ġhazal meñ qiyām hai merā
fazā fazā mirī gard-e-safar uḌī 'fitrat'
ki dast-e-daur-e-havādis meñ jaam hai merā
sahar ka nur mera rang-e-sham hai mera
unhin ke husn ka partaw kalam hai mera
teri nigah ne jis mein sharab chhalkai
kisi ke hath mein bhi ho wo jam hai mera
zahe-nasib ki aaj un hasin aankhon mein
har ek ashk-e-daraKHshan pe nam hai mera
mujhe guzishta-o-ainda ka malal ho kyon
mizaj-e-gardish-e-dauran ghulam hai mera
aziz-e-misr-e-suKHan hun suKHnawaron se kaho
sawad-e-shahr-e-ghazal mein qiyam hai mera
faza faza meri gard-e-safar uDi 'fitrat'
ki dast-e-daur-e-hawadis mein jam hai mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.