sahar ka zikr andhere ki baat hi na hui
sahar kā zikr añdhere kī baat hī na huī
vo jab se aa.e mire ghar meñ raat hī na huī
dayār-e-dil nigah-e-dil-kushā ne luuT liyā
phir is nagar meñ koī vārdāt hī na huī
dil-e-ġharīb ne kyā kyā jatan kiye lekin
sharīk-e-ġham nazar-e-iltifāt hī na huī
hadīs-e-dīda-varāñ hai ki dard-e-dil ke baġhair
ġham-e-jahāñ se kisī ko najāt hī na huī
kamand-e-‘aql kahāñ rūh-e-kā.enāt kahāñ
abhī sarāhat-e-ramz-e-hayāt hī na huī
sahar ka zikr andhere ki baat hi na hui
wo jab se aae mere ghar mein raat hi na hui
dayar-e-dil nigah-e-dil-kusha ne luT liya
phir is nagar mein koi wardat hi na hui
dil-e-gharib ne kya kya jatan kiye lekin
sharik-e-gham nazar-e-iltifat hi na hui
hadis-e-dida-waran hai ki dard-e-dil ke baghair
gham-e-jahan se kisi ko najat hi na hui
kamand-e-‘aql kahan ruh-e-kaenat kahan
abhi sarahat-e-ramz-e-hayat hi na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.