sahar ke KHwab ka mujh par asar kuchh der rahne do
sahar ke ḳhvāb kā mujh par asar kuchh der rahne do
kisī ke haal kī mujh ko ḳhabar kuchh der rahne do
juḌe haiñ in se nādīda purāne bām-o-darvāze
na.e shahroñ meñ ye vīrān ghar kuchh der rahne do
kahīñ guzre hue ayyām phir vāpas na aa jaa.eñ
dil-e-be-ḳhauf meñ is kā ḳhatar kuchh der rahne do
'munīr' is ālam-e-raushan meñ rahnā aur ḳhush rahnā
abhī us din se aage kā safar kuchh der rahne do
sahar ke KHwab ka mujh par asar kuchh der rahne do
kisi ke haal ki mujh ko KHabar kuchh der rahne do
juDe hain in se nadida purane baam-o-darwaze
nae shahron mein ye viran ghar kuchh der rahne do
kahin guzre hue ayyam phir wapas na aa jaen
dil-e-be-KHauf mein is ka KHatar kuchh der rahne do
'munir' is aalam-e-raushan mein rahna aur KHush rahna
abhi us din se aage ka safar kuchh der rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.