sahar KHwab-e-hasin se bahar aa
sahar ḳhvāb-e-hasīñ se bāhar aa
lazzat-e-be-yaqīñ se bāhar aa
juzv-e-tūfāñ nahīñ to qatra kyā
mauja-e-tah-nashīñ se bāhar aa
phir svayamvar rache dhanush TuuTe
aa darūn-e-zamīñ se bāhar aa
bāb-e-mah khol yā darīcha-e-mehr
merī ḳhātir kahīñ se bāhar aa
kaise duuñ maiñ sujūd-e-jāñ kā hisāb
dāġh-e-pinhāñ jabīñ se bāhar aa
dil kī rāhoñ meñ sarhadeñ kaisī
ḳhat-kashīda zamīñ se bāhar aa
nīlgūñ ho chukā huuñ maiñ kab kā
ab mirī āstīñ se bāhar aa
sahar KHwab-e-hasin se bahar aa
lazzat-e-be-yaqin se bahar aa
juzw-e-tufan nahin to qatra kya
mauja-e-tah-nashin se bahar aa
phir swayamwar rache dhanush TuTe
aa darun-e-zamin se bahar aa
bab-e-mah khol ya daricha-e-mehr
meri KHatir kahin se bahar aa
kaise dun main sujud-e-jaan ka hisab
dagh-e-pinhan jabin se bahar aa
dil ki rahon mein sarhaden kaisi
KHat-kashida zamin se bahar aa
nilgun ho chuka hun main kab ka
ab meri aastin se bahar aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.