sahar ko de ke nai nikhat-e-hayat gai
sahar ko de ke na.ī nik.hat-e-hayāt ga.ī
na jaane kis kī galī se nikal ke raat ga.ī
junūñ ne daulat-e-dil ko nisār kar Daalā
pukārtī hī rahī aql kā.enāt ga.ī
shab-e-firāq kā itnā bhī ġham na kar ai dil
sū-e-sahar hī ga.ī aaj tak jo raat ga.ī
paḌe haiñ raah meñ kuchh phuul ḳhāk-ālūda
koī janāza uThā yā koī barāt ga.ī
'shamīm' ahd-e-guzishta kī guftugū na karo
vo din ga.e vo mohabbat ga.ī vo baat ga.ī
sahar ko de ke nai nikhat-e-hayat gai
na jaane kis ki gali se nikal ke raat gai
junun ne daulat-e-dil ko nisar kar Dala
pukarti hi rahi aql kaenat gai
shab-e-firaq ka itna bhi gham na kar ai dil
su-e-sahar hi gai aaj tak jo raat gai
paDe hain rah mein kuchh phul KHak-aluda
koi janaza uTha ya koi baraat gai
'shamim' ahd-e-guzishta ki guftugu na karo
wo din gae wo mohabbat gai wo baat gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.