Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahar ne aa kar mujhe sulaya to maine jaana

Wazir Agha

sahar ne aa kar mujhe sulaya to maine jaana

Wazir Agha

MORE BYWazir Agha

    sahar ne aa kar mujhe sulāyā to maiñ ne jaanā

    phir ek sapnā mujhe dikhāyā to maiñ ne jaanā

    ba-juz havā ab rukegā koī na paas mere

    añdherī shab meñ diyā bujhāyā to maiñ ne jaanā

    gayā ye kah kar ki ek shab hai baat saarī

    magar vo jab lauT kar na aayā to maiñ ne jaanā

    maiñ ek tinkā rukā khaḌā thā nadī kināre

    nadī ne bahnā mujhe sikhāyā to maiñ ne jaanā

    siyāh bādal meñ barq kaundī to sab ne dekhā

    tirī hañsī ne mujhe rulāyā to maiñ ne jaanā

    maiñ oḌh kar ḳhud ko so gayā thā ki be-ḳhatar thā

    koī parinda jo phaḌ-phaḌāyā to maiñ ne jaanā

    mire siine meñ saḳht patthar shai hai koī

    jo aaj ne mujhe batāyā to maiñ ne jaanā

    maiñ terī nazroñ se gir chukā thā magar jo ne

    mirī nazar se mujhe girāyā to maiñ ne jaanā

    havā meñ shāmil thī tishnagī us ke tan-badan

    havā ne merā badan jalāyā to maiñ ne jaanā

    sahar ne aa kar mujhe sulaya to main ne jaana

    phir ek sapna mujhe dikhaya to main ne jaana

    ba-juz hawa ab rukega koi na pas mere

    andheri shab mein diya bujhaya to main ne jaana

    gaya ye kah kar ki ek shab ki hai baat sari

    magar wo jab lauT kar na aaya to main ne jaana

    main ek tinka ruka khaDa tha nadi kinare

    nadi ne bahna mujhe sikhaya to main ne jaana

    siyah baadal mein barq kaundi to sab ne dekha

    teri hansi ne mujhe rulaya to main ne jaana

    main oDh kar KHud ko so gaya tha ki be-KHatar tha

    koi parinda jo phaD-phaDaya to main ne jaana

    mere hi sine mein saKHt patthar si shai hai koi

    jo aaj tu ne mujhe bataya to main ne jaana

    main teri nazron se gir chuka tha magar jo tu ne

    meri nazar se mujhe giraya to main ne jaana

    hawa mein shamil thi tishnagi us ke tan-badan ki

    hawa ne mera badan jalaya to main ne jaana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now