sahar qarib hai KHalwat mahak rahi hogi
sahar qarīb hai ḳhalvat mahak rahī hogī
sharāb sāġhar-e-ġham se chhalak rahī hogī
vo baat tark-e-ta.alluq kā jo sabab Thahrī
vo baat tark-e-ta.alluq kā jo sabab Thahrī
vo baat ḳhud tire dil meñ khaTak rahī hogī
ye ujlī shaam mahakte hue ye sannāTe
vo apne muñh ko dupaTTe se Dhak rahī hogī
maiñ sub.h-o-shām guzartā thā jis se be-maqsad
vo raah ab bhī mirī raah tak rahī hogī
qalam hai sadiyoñ se masrūf husn-kārī meñ
sahar meñ terī adā bhī jhalak rahī hogī
ye baat alag hai maiñ rāhoñ kī justujū meñ huuñ
mirī talāsh meñ manzil bhaTak rahī hogī
'hayāt' phir mahak uThī hai yaad maazī kī
hamāre gaañv meñ phir fasl pak rahī hogī
sahar qarib hai KHalwat mahak rahi hogi
sharab saghar-e-gham se chhalak rahi hogi
wo baat tark-e-talluq ka jo sabab Thahri
wo baat tark-e-talluq ka jo sabab Thahri
wo baat KHud tere dil mein khaTak rahi hogi
ye ujli sham mahakte hue ye sannaTe
wo apne munh ko dupaTTe se Dhak rahi hogi
main subh-o-sham guzarta tha jis se be-maqsad
wo rah ab bhi meri rah tak rahi hogi
qalam hai sadiyon se masruf husn-kari mein
sahar mein teri ada bhi jhalak rahi hogi
ye baat alag hai main rahon ki justuju mein hun
meri talash mein manzil bhaTak rahi hogi
'hayat' phir mahak uThi hai yaad mazi ki
hamare ganw mein phir fasl pak rahi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.