sahar se pahle hi mujhko bujhana chahta hai
sahar se pahle hī mujh ko bujhānā chāhtā hai
vo merī aag ko shabnam banānā chāhtā hai
vo phūl-phūl badan shām-shām sā chehra
utar ke jaan meñ merī samānā chāhtā hai
vo aisī shāḳh-e-samar-dār hai ki dil jis ko
hisār-e-ḳhvāb-o-ḳhatā meñ chhupānā chāhtā hai
chamak rahe haiñ fusūn-e-nazar meñ māh-o-nujūm
badan ke phuul qabā par khilānā chāhtā hai
vo ik sadā hai samā.at pe saaya karne ko
vo ek rang hai jo phail jaanā chāhtā hai
guzartī shab meñ havāoñ se baat kartā hai
vo apne saath sabhī ko jagānā chāhtā hai
hai chuur chuur kaḌī dhuup ke safar se magar
ufuq ke paar kahīñ ghar banānā chāhtā hai
lipaT ke ḳhuub vo rotā hai merī yādoñ se
mujhe ḳhabar hai ki mujh ko bhulānā chāhtā hai
vo chashm-e-ḳhvāb se girtā huā sā ashk-e-numū
zamīn-e-ḳhushk se aañsū ugānā chāhtā hai
jo merī raah meñ qindīl kar gayā raushan
navāh-e-jān meñ jugnū jagānā chāhtā hai
maiñ ek sham-e-sar-e-rah-guzār huuñ 'ajmal'
na jaane kis liye mujh ko bujhānā chāhtā hai
sahar se pahle hi mujh ko bujhana chahta hai
wo meri aag ko shabnam banana chahta hai
wo phul-phul badan sham-sham sa chehra
utar ke jaan mein meri samana chahta hai
wo aisi shaKH-e-samar-dar hai ki dil jis ko
hisar-e-KHwab-o-KHata mein chhupana chahta hai
chamak rahe hain fusun-e-nazar mein mah-o-nujum
badan ke phul qaba par khilana chahta hai
wo ek sada hai samaat pe saya karne ko
wo ek rang hai jo phail jaana chahta hai
guzarti shab mein hawaon se baat karta hai
wo apne sath sabhi ko jagana chahta hai
hai chur chur kaDi dhup ke safar se magar
ufuq ke par kahin ghar banana chahta hai
lipaT ke KHub wo rota hai meri yaadon se
mujhe KHabar hai ki mujh ko bhulana chahta hai
wo chashm-e-KHwab se girta hua sa ashk-e-numu
zamin-e-KHushk se aansu ugana chahta hai
jo meri rah mein qindil kar gaya raushan
nawah-e-jaan mein jugnu jagana chahta hai
main ek sham-e-sar-e-rah-guzar hun 'ajmal'
na jaane kis liye mujh ko bujhana chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.