sahar ye naddi hai aansuon ki na puchh is ka bahao pyare
sahar ye naddi hai aansuon ki na puchh is ka bahao pyare
Badiuzzaman Sahar
MORE BYBadiuzzaman Sahar
sahar ye naddī hai āñsuoñ kī na pūchh is kā bahāo pyāre
ki is ke tūfān-e-mauj-e-ġham meñ bachegī kyā dil kī naav pyāre
mujhe to 'ādat hai ġham kī rāhoñ meñ chalne phirne kī ai sitamgar
magar shabāb-e-sitam kā tere kahāñ hai aglā paḌāv pyāre
ye ranj-o-ġham ye taḌap ye aaheñ ye huzn-o-hirmāñ alam karāheñ
yahī kamāyā hai 'umr bhar to usī kamā.ī ko khaao pyāre
ġhamoñ se kis ko hai rustagārī to kaahe lab pe hai āh-o-zārī
usī ko denā paḌegā marham diyā hai jis ne ye ghaav pyāre
hai ab bhī sābit ki pāra-pāra vo dil ke ranj-o-mehan kā maarā
ġhamoñ se yaarī hai ġham hī yaarā kuchh haal us kā batāo pyāre
tumhārī rūdād-e-dard-e-hastī ye shahr-yārān-e-kaif-o-mastī
kahāñ chale aa.e ho bhaTak ke ye bazm-e-ishrat hai jaao pyāre
mire ḳhayāloñ kī anjuman meñ ġhamoñ kī ik bhiiḌ sī lagī hai
kahāñ base ho ḳhayāl-e-jānāñ ġhazal ke sāñche meñ aao pyāre
jo khul gayā ye dahan to pyāre hilā ke rakh degā anjuman ko
ġhavāmiz-e-ḳhāmushī na pūchho tum apnī mahfil sajāo pyāre
kasād-bāzārī-e-nazar meñ kahāñ thī tahsīn-e-nāz-o-naḳhvat
ye merā bāzār-e-dil thā jis ne baḌhā diyā terā bhaav pyāre
hai sheriyat bhī ġhenā.iyat bhī hai is meñ dā.ūdiyat bhī lekin
ġhazal ke siine meñ rakh diyā hai ye kis ne ġham kā alaav pyāre
tumhārā charchā hai anjuman meñ ḳhamosh baiThe ho kyoñ 'sahar' tum
balā se samjhe na vo sitamgar tum apnā dukhḌā sunāo pyāre
sahar ye naddi hai aansuon ki na puchh is ka bahao pyare
ki is ke tufan-e-mauj-e-gham mein bachegi kya dil ki naw pyare
mujhe to 'adat hai gham ki rahon mein chalne phirne ki ai sitamgar
magar shabab-e-sitam ka tere kahan hai agla paDaw pyare
ye ranj-o-gham ye taDap ye aahen ye huzn-o-hirman alam karahen
yahi kamaya hai 'umr bhar to usi kamai ko khao pyare
ghamon se kis ko hai rustagari to kahe lab pe hai aah-o-zari
usi ko dena paDega marham diya hai jis ne ye ghaw pyare
hai ab bhi sabit ki para-para wo dil ke ranj-o-mehan ka mara
ghamon se yari hai gham hi yara kuchh haal us ka batao pyare
tumhaari rudad-e-dard-e-hasti ye shahr-yaran-e-kaif-o-masti
kahan chale aae ho bhaTak ke ye bazm-e-ishrat hai jao pyare
mere KHayalon ki anjuman mein ghamon ki ek bhiD si lagi hai
kahan base ho KHayal-e-jaanan ghazal ke sanche mein aao pyare
jo khul gaya ye dahan to pyare hila ke rakh dega anjuman ko
ghawamiz-e-KHamushi na puchho tum apni mahfil sajao pyare
kasad-bazari-e-nazar mein kahan thi tahsin-e-naz-o-naKHwat
ye mera bazar-e-dil tha jis ne baDha diya tera bhaw pyare
hai sheriyat bhi ghenaiyat bhi hai is mein daudiyat bhi lekin
ghazal ke sine mein rakh diya hai ye kis ne gham ka alaw pyare
tumhaara charcha hai anjuman mein KHamosh baiThe ho kyon 'sahar' tum
bala se samjhe na wo sitamgar tum apna dukhDa sunao pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.