sahe sitam pe sitam phir bhi muddaa na mila
sahe sitam pe sitam phir bhi muddaa na mila
Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi
MORE BYSyed Wajid Ali Farrukh Banarsi
sahe sitam pe sitam phir bhī mudda.ā na milā
hameñ to dard meñ bhī dard kā mazā na milā
fareb-e-shauq ne nākām-e-justujū rakkhā
talāsh jis kī thī us kā kahīñ patā na milā
vo ḳhaak jaur kī lazzat se āshnā hote
jinheñ ki hausla-e-sabr-āzmā na milā
azal se garm-rav-e-rāh-e-justujū huuñ maiñ
hanūz manzil-e-maqsūd kā patā na milā
tilism-e-dahr meñ ik vahm hai vajūd-e-bashar
hameñ talāsh se apnā bhī kuchh patā na milā
milā ke ḳhaak meñ haiñ be-niyāziyāñ ab tak
tumhārī tarah koī dair-āshnā na milā
banāte kāba-e-maqsūd jis ko ham 'farruḳh'
rah-e-talab meñ koī aisā naqsh-e-pā na milā
sahe sitam pe sitam phir bhi muddaa na mila
hamein to dard mein bhi dard ka maza na mila
fareb-e-shauq ne nakaam-e-justuju rakkha
talash jis ki thi us ka kahin pata na mila
wo KHak jaur ki lazzat se aashna hote
jinhen ki hausla-e-sabr-azma na mila
azal se garm-raw-e-rah-e-justuju hun main
hanuz manzil-e-maqsud ka pata na mila
tilism-e-dahr mein ek wahm hai wajud-e-bashar
hamein talash se apna bhi kuchh pata na mila
mila ke KHak mein hain be-niyaziyan ab tak
tumhaari tarah koi dair-ashna na mila
banate kaba-e-maqsud jis ko hum 'farruKH'
rah-e-talab mein koi aisa naqsh-e-pa na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.