sahen kab tak jafaen bewafai dekhne wale
saheñ kab tak jafā.eñ bevafā.ī dekhne vaale
kahāñ tak jaan par kheleñ judā.ī dekhne vaale
tire bīmār-e-ġham kī ab to nabzeñ bhī nahīñ miltīñ
kaf-e-afsos malte haiñ kalā.ī dekhne vaale
ḳhudā se kyuuñ na māñgeñ kyuuñ kareñ minnat amīroñ kī
ye kyā deñge kisī ko āna-pā.ī dekhne vaale
butoñ kī chaah bantī hai sabab ishq-e-ilāhī kā
ḳhudā ko dekh lete haiñ ḳhudā.ī dekhne vaale
mahīnoñ bhā.ī-bandoñ ne mirā mātam kiyā 'muztar'
mahīnoñ ro.e ḳhālī chārpā.ī dekhne vaale
sahen kab tak jafaen bewafai dekhne wale
kahan tak jaan par khelen judai dekhne wale
tere bimar-e-gham ki ab to nabzen bhi nahin miltin
kaf-e-afsos malte hain kalai dekhne wale
KHuda se kyun na mangen kyun karen minnat amiron ki
ye kya denge kisi ko aana-pai dekhne wale
buton ki chah banti hai sabab ishq-e-ilahi ka
KHuda ko dekh lete hain KHudai dekhne wale
mahinon bhai-bandon ne mera matam kiya 'muztar'
mahinon roe KHali chaarpai dekhne wale
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 318)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.