sahl tha jaan-afrin tanha tumhaare tir ka
sahl thā jān-āfrīñ tanhā tumhāre tiir kā
kaam letā huuñ dil-e-nāchīz se iksīr kā
kākul-e-jānāñ se milnā halqa-e-zanjīr kā
dekho ab anjām kyā ho vahshī-e-dil-gīr kā
saath kis aalam meñ chhūTā gardish-e-taqdīr kā
hai asīrī kā kahīñ ġham aur kahīñ zanjīr kā
tum hī jaano nāvak-e-mizhgāñ thā kis tāsīr kā
ḳhuun kā rishta magar miltā hai dil se tiir kā
rahnumā-e-dil duā dete haiñ tum ko raat din
zikr aksar hotā rahtā hai tumhāre tiir kā
ho chuke haiñ ġhāliban ab din asīrī ke tamām
qaid meñ ḳhud bah gayā aahan mirī zanjīr kā
kohkan aur qais phir vāpas bulā.e jā.eñge
koh aur sahrā meñ mansūba hai jū-e-shīr kā
husn-e-shīrīñ dekh kar hī mar to jaatā kohkan
thā magar taqdīr meñ laanā bhī jū-e-shīr kā
husn-e-zan kah lījiye yā phir fareb-e-āgahī
aur ziyāda kuchh patā chaltā nahīñ taqdīr kā
lauh-e-marqad par ye likhvā dījiye hazrat 'qadīr'
āḳhirī ziina hai ye insān kī ta.amīr kā
sahl tha jaan-afrin tanha tumhaare tir ka
kaam leta hun dil-e-nachiz se iksir ka
kakul-e-jaanan se milna halqa-e-zanjir ka
dekho ab anjam kya ho wahshi-e-dil-gir ka
sath kis aalam mein chhuTa gardish-e-taqdir ka
hai asiri ka kahin gham aur kahin zanjir ka
tum hi jaano nawak-e-mizhgan tha kis tasir ka
KHun ka rishta magar milta hai dil se tir ka
rahnuma-e-dil dua dete hain tum ko raat din
zikr aksar hota rahta hai tumhaare tir ka
ho chuke hain ghaaliban ab din asiri ke tamam
qaid mein KHud bah gaya aahan meri zanjir ka
kohkan aur qais phir wapas bulae jaenge
koh aur sahra mein mansuba hai ju-e-shir ka
husn-e-shirin dekh kar hi mar to jata kohkan
tha magar taqdir mein lana bhi ju-e-shir ka
husn-e-zan kah lijiye ya phir fareb-e-agahi
aur ziyaada kuchh pata chalta nahin taqdir ka
lauh-e-marqad par ye likhwa dijiye hazrat 'qadir'
aaKHiri zina hai ye insan ki tamir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.