sahma sahma jab ek misra ghazal sunae tum aana
sahmā sahmā jab ik misra ġhazal sunā.e tum aanā
rūThī rūThī garm havā jab bārish laa.e tum aanā
tapte gul ke dāman se kyoñ tum ne churā.ī ḳhushbū hai
ab jo surḳhī aḳhbāroñ kī aag lagā.e tum aanā
rasta manzil ḳhvāb tasavvur sachchā.ī bas itnī hai
dastak koī sannāTe kī aa ke jagā.e tum aanā
mere ghar ke darvāze par kis ne likhā hai kājal se
TukḌā TukḌā koī āñchal jab lahrā.e tum aanā
'zāhid' ke gaañv kā jehlam ab bhī paanī paanī hai
har qisse kī zinda kahānī jab bah jaa.e tum aanā
sahma sahma jab ek misra ghazal sunae tum aana
ruThi ruThi garm hawa jab barish lae tum aana
tapte gul ke daman se kyon tum ne churai KHushbu hai
ab jo surKHi aKHbaron ki aag lagae tum aana
rasta manzil KHwab tasawwur sachchai bas itni hai
dastak koi sannaTe ki aa ke jagae tum aana
mere ghar ke darwaze par kis ne likha hai kajal se
TukDa TukDa koi aanchal jab lahrae tum aana
'zahid' ke ganw ka jehlam ab bhi pani pani hai
har qisse ki zinda kahani jab bah jae tum aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.