sahme sahme chalte phirte lashe jaise log
sahme sahme chalte phirte lāshe jaise log
vaqt se pahle mar jaate haiñ kitne aise log
sar par chaḌh kar bol rahe haiñ paude jaise log
peḌ bane ḳhāmosh khaḌe haiñ kaise kaise log
chaḌhtā sūraj dekh ke ḳhush haiñ kaun nahīñ samjhā.e
taptī dhuup meñ kumhlā.eñge ġhunche jaise log
shab ke rāj-dulāro socho apnā bhī anjām
shab kā kyā hai kaaT hī deñge jaise-taise log
ġham kā darmāñ sochne baiThe the jo raat ga.e
fikr-e-fardā le kar uTThe bazm-e-mai se log
'mohsin' aur bhī nikhregā in sheroñ kā mafhūm
apne aap ko pahchāneñge jaise jaise log
sahme sahme chalte phirte lashe jaise log
waqt se pahle mar jate hain kitne aise log
sar par chaDh kar bol rahe hain paude jaise log
peD bane KHamosh khaDe hain kaise kaise log
chaDhta suraj dekh ke KHush hain kaun nahin samjhae
tapti dhup mein kumhlaenge ghunche jaise log
shab ke raj-dularo socho apna bhi anjam
shab ka kya hai kaT hi denge jaise-taise log
gham ka darman sochne baiThe the jo raat gae
fikr-e-farda le kar uTThe bazm-e-mai se log
'mohsin' aur bhi nikhrega in sheron ka mafhum
apne aap ko pahchanenge jaise jaise log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.