sahn-e-chaman mein baad-e-saba mahw-e-raqs hai
sahn-e-chaman meñ bād-e-sabā mahv-e-raqs hai
yā zehn meñ ḳhayāl tirā mahv-e-raqs hai
sūraj sitāre chāñd zamīn aur āsmāñ
ye saarī kā.enāt ḳhudā mahv-e-raqs hai
har zarra-e-zamīn hai kuchh boltā huā
lagtā hai jaise koī sadā mahv-e-raqs hai
terā ḳhayāl terā tasavvur tirī talab
har dam laboñ pe zikr tirā mahv-e-raqs hai
vo bevafā.iyāñ bhī kare gar to kis tarah
vo jis ke ird-gird vafā mahv-e-raqs hai
'zīshān' terī fikr meñ parvāz kyoñ na ho
ajdād ke suḳhan kī fazā mahv-e-raqs hai
sahn-e-chaman mein baad-e-saba mahw-e-raqs hai
ya zehn mein KHayal tera mahw-e-raqs hai
suraj sitare chand zamin aur aasman
ye sari kaenat KHuda mahw-e-raqs hai
har zarra-e-zamin hai kuchh bolta hua
lagta hai jaise koi sada mahw-e-raqs hai
tera KHayal tera tasawwur teri talab
har dam labon pe zikr tera mahw-e-raqs hai
wo bewafaiyan bhi kare gar to kis tarah
wo jis ke ird-gird wafa mahw-e-raqs hai
'zishan' teri fikr mein parwaz kyon na ho
ajdad ke suKHan ki faza mahw-e-raqs hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.