sahn-e-ehsas mein ek naqsh nihan tha pahle
sahn-e-ehsās meñ ik naqsh nihāñ thā pahle
tū nahīñ thā tire hone kā gumāñ thā pahle
tah-ba-tah chaar sū ḳhush-rañg sadā raushan thī
mujh se pahle bhī koī jaise yahāñ thā pahle
vo bhī sahrā kī sadāoñ meñ giraftār rahā
aur mujh meñ bhī koī reg-e-ravāñ thā pahle
vaqt ne kar diyā patthar kī lahad meñ tabdīl
apnā chhoTā sā jo miTTī kā makāñ thā pahle
ab to ā.īna-e-ehsās hai be-aks-e-jamāl
mujh se chhup kar bhī koī mujh pe ayaañ thā pahle
vo nahīñ thā to na thā us kī zarūrat kyā thī
apne hone kā bhī ehsās kahāñ thā pahle
roz-o-shab sahte rahe TūTte lamhoñ kā itaab
koī ḳhanjar sā qarīb-e-rag-e-jāñ thā pahle
aap kī ham-safarī ne safar āsān kiyā
varna har gaam yahāñ koh-e-girāñ thā pahle
ḳhush-bayānī ne kisī kī mujhe ḳhush-rañg kiyā
apnā kuchh aur hī andāz-e-bayāñ thā pahle
un se milte hī har ik ġham se milī 'nāz' najāt
zindagī kā ye hasīñ chehra kahāñ thā pahle
sahn-e-ehsas mein ek naqsh nihan tha pahle
tu nahin tha tere hone ka guman tha pahle
tah-ba-tah chaar su KHush-rang sada raushan thi
mujh se pahle bhi koi jaise yahan tha pahle
wo bhi sahra ki sadaon mein giraftar raha
aur mujh mein bhi koi reg-e-rawan tha pahle
waqt ne kar diya patthar ki lahad mein tabdil
apna chhoTa sa jo miTTi ka makan tha pahle
ab to aaina-e-ehsas hai be-aks-e-jamal
mujh se chhup kar bhi koi mujh pe ayan tha pahle
wo nahin tha to na tha us ki zarurat kya thi
apne hone ka bhi ehsas kahan tha pahle
roz-o-shab sahte rahe TuTte lamhon ka itab
koi KHanjar sa qarib-e-rag-e-jaan tha pahle
aap ki ham-safari ne safar aasan kiya
warna har gam yahan koh-e-giran tha pahle
KHush-bayani ne kisi ki mujhe KHush-rang kiya
apna kuchh aur hi andaz-e-bayan tha pahle
un se milte hi har ek gham se mili 'naz' najat
zindagi ka ye hasin chehra kahan tha pahle
- Book : Sahra Mein Ek Boond (Pg. 61)
- Author : Naz Quadri
- Publication : Maktaba Sadaf, Muzaffarpur (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.