sahn raushan na ek makan raushan
sahn raushan na ik makāñ raushan
chehra chehra udāsiyāñ raushan
zehn-dar-zehn vasl-e-be-zārī
jism-dar-jism sardiyāñ raushan
gāñv-dar-gāñv tīrgī ke paḌāv
shahr-dar-shahr bijliyāñ raushan
bhar safar dhuup kufr kartī huī
nā taraf sar pe sā.ebāñ raushan
sochte rah ga.e nazar vaale
kar ga.e yaar jism-o-jāñ raushan
kitne aalam hayāt se chhūTe
tab huā ek ḳhāk-dāñ raushan
nuur ne ghar kiyā nigāhoñ meñ
ho ga.e saat āsmāñ raushan
sahn raushan na ek makan raushan
chehra chehra udasiyan raushan
zehn-dar-zehn wasl-e-be-zari
jism-dar-jism sardiyan raushan
ganw-dar-ganw tirgi ke paDaw
shahr-dar-shahr bijliyan raushan
bhar safar dhup kufr karti hui
na taraf sar pe saeban raushan
sochte rah gae nazar wale
kar gae yar jism-o-jaan raushan
kitne aalam hayat se chhuTe
tab hua ek KHak-dan raushan
nur ne ghar kiya nigahon mein
ho gae sat aasman raushan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.