Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sine mein sulagte hue lamhat ka jangal

Aslam Kolsarii

sine mein sulagte hue lamhat ka jangal

Aslam Kolsarii

siine meñ sulagte hue lamhāt jañgal

kis tarah kaTe tāroñ bharī raat jañgal

haañ dast-shanāsī pe baḌā naaz thā us ko

dekhā na gayā us se mire haat jañgal

ummīd ik peḌ ugaa.e nahīñ ugtā

ḳhud-rav hai magar zehn meñ shub.hāt jañgal

de tāqat-e-parvāz ki uupar se guzar jā.ūñ

kyuuñ raah meñ haa.il hai mirī zaat jañgal

ḳhvābīda haiñ is meñ ka.ī ayyār darinde

behtar hai ki jal jaa.e ye jazbāt jañgal

kuchh aur masā.il mirī jānib hue maa.il

kuchh aur harā ho gayā hālāt jañgal

tasvīr-e-ġhazal meñ se jhalaktā huā 'aslam'

ye shahr-e-suḳhan hai ki ḳhurāfāt jañgal

sine mein sulagte hue lamhat ka jangal

kis tarah kaTe taron bhari raat ka jangal

han dast-shanasi pe baDa naz tha us ko

dekha na gaya us se mere hat ka jangal

ummid ka ek peD ugae nahin ugta

KHud-raw hai magar zehn mein shubhat ka jangal

de taqat-e-parwaz ki upar se guzar jaun

kyun rah mein hail hai meri zat ka jangal

KHwabida hain is mein kai ayyar darinde

behtar hai ki jal jae ye jazbaat ka jangal

kuchh aur masail meri jaanib hue mail

kuchh aur hara ho gaya haalat ka jangal

taswir-e-ghazal mein se jhalakta hua 'aslam'

ye shahr-e-suKHan hai ki KHurafat ka jangal

Source :
  • Book : Range-e-Gazal (Pg. 127)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now