sahra-e-arzu mein na hargiz qiyam kar
sahrā-e-ārzū meñ na hargiz qiyām kar
ḳhuddārī-e-junūñ kā bhī kuchh ehtirām kar
kaif-e-alam meñ Duub ḳhudī ko davām kar
nazm-e-ġham-e-hayāt kā yuuñ iḳhtitām kar
ḳhud ko asīr-e-panja-e-sad-ehtimām kar
mansūb sarguzasht-e-vafā un ke naam kar
rang-e-shab-e-darāz badal ashk-e-ḳhūn se
shāyān-e-shān sub.h-e-tarab ehtimām kar
maanā ki talḳhiyoñ ke sivā is meñ kuchh nahīñ
saaqī se hai ḳhulūs to tauqīr-e-jām kar
ab jazba-e-kalīm zarūrī nahīñ to phir
be-qaid-e-tūr tū bhī tajallī ko 'aam kar
ye chashm nam hai dil kī tabāhī pe kis liye
'bāsit' usūl-e-ġham ko na mahfil meñ 'aam kar
sahra-e-arzu mein na hargiz qiyam kar
KHuddari-e-junun ka bhi kuchh ehtiram kar
kaif-e-alam mein Dub KHudi ko dawam kar
nazm-e-gham-e-hayat ka yun iKHtitam kar
KHud ko asir-e-panja-e-sad-ehtimam kar
mansub sarguzasht-e-wafa un ke nam kar
rang-e-shab-e-daraaz badal ashk-e-KHun se
shayan-e-shan subh-e-tarab ehtimam kar
mana ki talKHiyon ke siwa is mein kuchh nahin
saqi se hai KHulus to tauqir-e-jam kar
ab jazba-e-kalim zaruri nahin to phir
be-qaid-e-tur tu bhi tajalli ko 'am kar
ye chashm nam hai dil ki tabahi pe kis liye
'basit' usul-e-gham ko na mahfil mein 'am kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.