Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahra ki be-ab zamin par ek chaman tayyar kiya

Shaayar Lakhnavi

sahra ki be-ab zamin par ek chaman tayyar kiya

Shaayar Lakhnavi

MORE BYShaayar Lakhnavi

    sahrā be-āb zamīñ par ek chaman tayyār kiyā

    apne lahū se sīñch ke ham ne miTTī ko gulzār kiyā

    yuuñ ham apne ghar se nikle ghar ham ko taktā rahā

    ham ne adā bhīgī āñkhoñ se qarz-e-dar-o-dīvār kiyā

    kitnī āñkheñ shauq-e-sarāpā kitne chehre harf-e-savāl

    jaane phir kyā soch ke ham ne ḳhud ko tirā bīmār kiyā

    tum na kaho tārīḳh kahegī ham haiñ kis me.aar ke log

    patthar khaa.e phuul tarāshe rāhoñ ko hamvār kiyā

    sho.ale lapke jab bhī ham ko barkhā-rut yaad aa.ī

    āñkheñ barsīñ jab bhī ham ne zikr-e-lab-o-ruḳhsār kiyā

    ek ruḳh tak apnā mizāj-e-zauq-e-vafā mahdūd nahīñ

    rañg diyā mai-ḳhāne ko bhī maqtal se bhī pyaar kiyā

    rasm-e-mohabbat 'shā.ir' ham ko chaltī huī talvār banī

    jis ko banāyā ham ne apnā us ne hamīñ par vaar kiyā

    sahra ki be-ab zamin par ek chaman tayyar kiya

    apne lahu se sinch ke hum ne miTTi ko gulzar kiya

    yun hum apne ghar se nikle ghar hum ko takta hi raha

    hum ne ada bhigi aankhon se qarz-e-dar-o-diwar kiya

    kitni aankhen shauq-e-sarapa kitne chehre harf-e-sawal

    jaane phir kya soch ke hum ne KHud ko tera bimar kiya

    tum na kaho tariKH kahegi hum hain kis mear ke log

    patthar khae phul tarashe rahon ko hamwar kiya

    shoale lapke jab bhi hum ko barkha-rut ki yaad aai

    aankhen barsin jab bhi hum ne zikr-e-lab-o-ruKHsar kiya

    ek hi ruKH tak apna mizaj-e-zauq-e-wafa mahdud nahin

    rang diya mai-KHane ko bhi maqtal se bhi pyar kiya

    rasm-e-mohabbat 'shair' hum ko chalti hui talwar bani

    jis ko banaya hum ne apna us ne hamin par war kiya

    Source :
    • Book : naquush (Pg. 235)
    • Edition : 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now