sahra ki tarah shahr-e-wafa hai ki nahin hai
sahrā kī tarah shahr-e-vafā hai ki nahīñ hai
har sāhib-e-dil ābla-pā hai ki nahīñ hai
pahchānte haiñ log tire naam se mujh ko
ab terā patā merā patā hai ki nahīñ hai
taskīn ke lamhāt ko tarsī huī duniyā
hālāt se har chand ḳhafā hai ki nahīñ hai
nāmūs-e-vatan lūTne vāloñ ke liye bhī
yā-rab koī ā.īn-e-sazā hai ki nahīñ hai
is zulf ke saa.e meñ ye ehsās jalā.e
hañste hue sahrā pe ghaTā hai ki nahīñ hai
jis husn kā partav mirī taqdīr badal de
vo mere liye zill-e-humā hai ki nahīñ hai
'nusrat' maiñ isī fikr meñ rahtā huuñ pareshāñ
insān ko haqīqat meñ fanā hai ki nahīñ hai
sahra ki tarah shahr-e-wafa hai ki nahin hai
har sahib-e-dil aabla-pa hai ki nahin hai
pahchante hain log tere nam se mujh ko
ab tera pata mera pata hai ki nahin hai
taskin ke lamhat ko tarsi hui duniya
haalat se har chand KHafa hai ki nahin hai
namus-e-watan luTne walon ke liye bhi
ya-rab koi aain-e-saza hai ki nahin hai
is zulf ke sae mein ye ehsas jalae
hanste hue sahra pe ghaTa hai ki nahin hai
jis husn ka partaw meri taqdir badal de
wo mere liye zill-e-huma hai ki nahin hai
'nusrat' main isi fikr mein rahta hun pareshan
insan ko haqiqat mein fana hai ki nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.