sahra koi basti koi dariya hai ki tum ho
sahrā koī bastī koī dariyā hai ki tum ho
sab kuchh mirī nazroñ kā tamāshā hai ki tum ho
lauT aa.e haiñ sahrā se sabhī lauTne vaale
is baar mire shahr meñ achchhā hai ki tum ho
tum ho ki mire lab pe du'ā rahtī hai koī
āñkhoñ ne koī ḳhvāb sā dekhā hai ki tum ho
jab bhī koī detā hai dar-e-ḳhvāb pe dastak
maiñ sochne lagtā huuñ ki duniyā hai ki tum ho
ye 'ishq kā jaltā huā sahrā hai ki maiñ huuñ
ye husn kā bahtā huā dariyā hai ki tum ho
sahra koi basti koi dariya hai ki tum ho
sab kuchh meri nazron ka tamasha hai ki tum ho
lauT aae hain sahra se sabhi lauTne wale
is bar mere shahr mein achchha hai ki tum ho
tum ho ki mere lab pe du'a rahti hai koi
aankhon ne koi KHwab sa dekha hai ki tum ho
jab bhi koi deta hai dar-e-KHwab pe dastak
main sochne lagta hun ki duniya hai ki tum ho
ye 'ishq ka jalta hua sahra hai ki main hun
ye husn ka bahta hua dariya hai ki tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.