sahra mein hai qarar na sehn-e-chaman mein hai
sahrā meñ hai qarār na sehn-e-chaman meñ hai
jab se dil-e-ḳharāb tirī anjuman meñ hai
ye barhamī jo zulf-e-shikan-dar-shikan meñ hai
shāyad koī kamī mire dīvāna-pan meñ hai
jo kārvāñ bhī aayā yahīñ kā vo ho rahā
kyā jaane kyā kashish mirī ḳhāk-e-vatan meñ hai
rag rag meñ jaise barq-e-tapāñ dauḌne lagī
koī kashish to qissa-e-dār-o-rasan meñ hai
vo bazm-e-nāz bā.is-e-āzār hī sahī
dil ko magar qarār isī anjuman meñ hai
phūloñ ko ho sakī na mah-o-mehr ko nasīb
jalvoñ kī jo bahār tire pairahan meñ hai
ye kaun tishna kaam gulistāñ meñ aa gayā
bū-e-sharāb barg-e-gul-o-yāsman meñ hai
sahra mein hai qarar na sehn-e-chaman mein hai
jab se dil-e-KHarab teri anjuman mein hai
ye barhami jo zulf-e-shikan-dar-shikan mein hai
shayad koi kami mere diwana-pan mein hai
jo karwan bhi aaya yahin ka wo ho raha
kya jaane kya kashish meri KHak-e-watan mein hai
rag rag mein jaise barq-e-tapan dauDne lagi
koi kashish to qissa-e-dar-o-rasan mein hai
wo bazm-e-naz bais-e-azar hi sahi
dil ko magar qarar isi anjuman mein hai
phulon ko ho saki na mah-o-mehr ko nasib
jalwon ki jo bahaar tere pairahan mein hai
ye kaun tishna kaam gulistan mein aa gaya
bu-e-sharab barg-e-gul-o-yasman mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.