sahrā-navard kitne isī ġham meñ mar ga.e
gir jā.eñge nazar se agar lauT kar ga.e
vo itne be-ḳhabar haiñ ki ye bhī ḳhabar nahīñ
ham imtihān-e-ishq meñ jaañ se guzar ga.e
dekhā hai ham ne ye bhī takallum ke saath saath
gesū sañvar ga.e kabhī gesū bikhar ga.e
kyā kyā karam haiñ gardish-e-lail-o-nahār ke
dekhā jo ham ne ġhaur se ā.īne Dar ga.e
hai kārvāñ hī baaqī na ab gard-e-kārvāñ
mujh se bichhaḌ ke saare mire ham-safar ga.e
ḳhāmosh huuñ navishta-e-taqdīr jaan kar
maiñ ne hasīn ḳhvāb jo dekhe bikhar ga.e
sahra-naward kitne isi gham mein mar gae
gir jaenge nazar se agar lauT kar gae
wo itne be-KHabar hain ki ye bhi KHabar nahin
hum imtihan-e-ishq mein jaan se guzar gae
dekha hai hum ne ye bhi takallum ke sath sath
gesu sanwar gae kabhi gesu bikhar gae
kya kya karam hain gardish-e-lail-o-nahaar ke
dekha jo hum ne ghaur se aaine Dar gae
hai karwan hi baqi na ab gard-e-karwan
mujh se bichhaD ke sare mere ham-safar gae
KHamosh hun nawishta-e-taqdir jaan kar
main ne hasin KHwab jo dekhe bikhar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.