Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahra-nawardiyon ke ewaz ghar diya gaya

Vikram

sahra-nawardiyon ke ewaz ghar diya gaya

Vikram

MORE BYVikram

    sahrā-navardiyoñ ke evaz ghar diyā gayā

    pyāsī nadī ko ḳhārā samundar diyā gayā

    bas lams bhar jahān dikhāyā gayā hameñ

    duniyā zā.iqa bhī nigah-bhar diyā gayā

    us ko zarā shak thā mohabbat aur bas

    is or se yaqīn barābar diyā gayā

    ham kāfiroñ ne us ko ḳhudā banā liyā

    jo shaḳhs thā barā.e-payāmbar diyā gayā

    jin ko milī umiid ḳhudā vaale ho ga.e

    munkir hue vo jin ko faqat Dar diyā gayā

    ham ko sazā-e-naql-e-makānī to magar

    dīvār-o-dar ko raḳht-e-safar kar diyā gayā

    sahra-nawardiyon ke ewaz ghar diya gaya

    pyasi nadi ko KHara samundar diya gaya

    bas lams bhar jahan dikhaya gaya hamein

    duniya ka zaiqa bhi nigah-bhar diya gaya

    us ko zara sa shak tha mohabbat ka aur bas

    is or se yaqin barabar diya gaya

    hum kafiron ne us ko KHuda hi bana liya

    jo shaKHs tha barae-payambar diya gaya

    jin ko mili umid KHuda wale ho gae

    munkir hue wo jin ko faqat Dar diya gaya

    hum ko saza-e-naql-e-makani to di magar

    diwar-o-dar ko raKHt-e-safar kar diya gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now