sahra o shahr sab se aazad ho raha hun
sahrā o shahr sab se āzād ho rahā huuñ
apne kahe kināre ābād ho rahā huuñ
yā husn baḌh gayā hai had se ziyāda us kā
yā maiñ hī apne fan meñ ustād ho rahā huuñ
is baar dil ke raste hamla karegī duniyā
sarhad banā rahā huuñ faulād ho rahā huuñ
chālāk kam nahīñ hai mahbūb hai jo merā
maiñ bhī sambhal sambhal kar farhād ho rahā huuñ
ruuh o badan barābar lafzoñ meñ Dhal rahe haiñ
ik tajrabe se maiñ bhī ījād ho rahā huuñ
thoḌā bahut mujhe bhī sunñe lagī hai duniyā
terī zabāñ se shāyad irshād ho rahā huuñ
sahra o shahr sab se aazad ho raha hun
apne kahe kinare aabaad ho raha hun
ya husn baDh gaya hai had se ziyaada us ka
ya main hi apne fan mein ustad ho raha hun
is bar dil ke raste hamla karegi duniya
sarhad bana raha hun faulad ho raha hun
chaalak kam nahin hai mahbub hai jo mera
main bhi sambhal sambhal kar farhad ho raha hun
ruh o badan barabar lafzon mein Dhal rahe hain
ek tajrabe se main bhi ijad ho raha hun
thoDa bahut mujhe bhi sunne lagi hai duniya
teri zaban se shayad irshad ho raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.