Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahra pe gar junun mujhe lawe itab mein

Qayem Chaandpuri

sahra pe gar junun mujhe lawe itab mein

Qayem Chaandpuri

MORE BYQayem Chaandpuri

    sahrā pe gar junūñ mujhe laave itaab meñ

    khīñchūñ har ek ḳhaar ko pā-e-hisāb meñ

    is barq tarah se ki ho vo sahāb meñ

    ātish baḳht-e-bad ne mujhe ain aab meñ

    dekhī thī zulf raat kisī maiñ ḳhvāb meñ

    ab tak hai baal baal mirā pech-o-tāb meñ

    Tuk ġhaur kar bū-qalmoñ falak ke Dol

    ik rañg hai nayā har ik inqalāb meñ

    us shola-ḳhū se kasb-e-harārat kare hai daaġh

    zarra hai jis soz-e-dil-e-āftāb meñ

    mai jo chāhe ātish-e-dozaḳh se najāt

    jaltā nahīñ vo uzv jo tar ho sharāb meñ

    juuñ mauj mujh se mūjib-e-be-tāqatī na pūchh

    ik umr hai ki huuñ maiñ isī iztirāb meñ

    qaazī ḳhabar le mai ko bhī likkhā hai vaañ mubāh

    rishvat hai javāz tirī jis kitāb meñ

    roz-e-shumār go ho mire saath bāz-purs

    maiñ kyā huuñ aur mere gunah kis hisāb meñ

    ye sar-kashī hai utnī tanik mā.egī pe kyā

    jhamkā nahīñ hai bahr agar is sahāb meñ

    kyā kiije hove chashm miyāñ terī jo kor

    zāhir hai varna husn vahī har naqāb meñ

    nāseh na taaza ishq maiñ vaz.a hai raah

    har kuchh kare hai aadmī ahd-e-shabāb meñ

    qaa.em hai ye bhī taur koī zindagī yaañ

    guzrī tamām umr tirī ḳhūr-o-ḳhvāb meñ

    'qā.em' ho kis tarah se baham shakl-e-iḳhtilāt

    vo is ġhurūr-e-nāz meñ ham is hijāb meñ

    sahra pe gar junun mujhe lawe itab mein

    khinchun har ek KHar ko pa-e-hisab mein

    is barq ki tarah se ki ho wo sahab mein

    aatish di baKHt-e-bad ne mujhe ain aab mein

    dekhi thi zulf raat kisi ki main KHwab mein

    ab tak hai baal baal mera pech-o-tab mein

    Tuk ghaur kar tu bu-qalmon ka falak ke Dol

    ek rang hai naya hi har ek inqalab mein

    us shola-KHu se kasb-e-hararat kare hai dagh

    zarra hai jis ka soz-e-dil-e-aftab mein

    mai pi jo chahe aatish-e-dozaKH se tu najat

    jalta nahin wo uzw jo tar ho sharab mein

    jun mauj mujh se mujib-e-be-taqati na puchh

    ek umr hai ki hun main isi iztirab mein

    qazi KHabar le mai ko bhi likkha hai wan mubah

    rishwat ka hai jawaz teri jis kitab mein

    roz-e-shumar go ho mere sath baz-purs

    main kya hun aur mere gunah kis hisab mein

    ye sar-kashi hai utni tanik maegi pe kya

    jhamka nahin hai bahr agar is sahab mein

    kya kije howe chashm miyan teri hi jo kor

    zahir hai warna husn wahi har naqab mein

    naseh na taza ishq ki main waza ki hai rah

    har kuchh kare hai aadmi ahd-e-shabab mein

    qaem hai ye bhi taur koi zindagi ka yan

    guzri tamam umr teri KHur-o-KHwab mein

    'qaem' ho kis tarah se baham shakl-e-iKHtilat

    wo is ghurur-e-naz mein hum is hijab mein

    Source :
    • Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now