sahra sahra bhaTak rahi hun main
sahrā sahrā bhaTak rahī huuñ maiñ
ab nazar aa ki thak rahī huuñ maiñ
bichh rahe haiñ sarāb rāhoñ meñ
har qadam par aTak rahī huuñ maiñ
kyuuñ nazar ḳhud ko maiñ nahīñ aatī
kab se ā.īna tak rahī huuñ maiñ
haa.e kyā vaqt hai ki ab us kī
be-dilī meñ jhalak rahī huuñ maiñ
vaqt se TūTtā huā lamha
aur is meñ dhaḌak rahī huuñ maiñ
jis ne rusvā kiyā mujhe 'nusrat'
us ke aiboñ ko Dhak rahī huuñ maiñ
sahra sahra bhaTak rahi hun main
ab nazar aa ki thak rahi hun main
bichh rahe hain sarab rahon mein
har qadam par aTak rahi hun main
kyun nazar KHud ko main nahin aati
kab se aaina tak rahi hun main
hae kya waqt hai ki ab us ki
be-dili mein jhalak rahi hun main
waqt se TuTta hua lamha
aur is mein dhaDak rahi hun main
jis ne ruswa kiya mujhe 'nusrat'
us ke aibon ko Dhak rahi hun main
- Book : Ghar Aane Ko Hai (Pg. 49)
- Author : Nusrat Mehdi
- Publication : Shivna Prakashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.