sahra sahra chiKHta phirta hun main
sahrā sahrā chīḳhtā phirtā huuñ maiñ
ho ke dariyā kis qadar pyāsā huuñ maiñ
jaan kar gūñgā huuñ aur bahrā huuñ maiñ
is liye is shahr meñ zinda huuñ maiñ
is ko manzil jānte haiñ rāhbar
itifāqan jis jagah Thahrā huuñ maiñ
qaid huuñ maiñ vus.atoñ ke bāvajūd
vo mirā sāhil hai aur dariyā huuñ maiñ
us ne rasman jab bhī pūchhā merā haal
maiñ ne tanzan kah diyā achchhā huuñ maiñ
vo shajar tanhā shajar chaupāl kā
us shajar kā āḳhirī pattā huuñ maiñ
sahra sahra chiKHta phirta hun main
ho ke dariya kis qadar pyasa hun main
jaan kar gunga hun aur bahra hun main
is liye is shahr mein zinda hun main
is ko manzil jaante hain rahbar
itifaqan jis jagah Thahra hun main
qaid hun main wusaton ke bawajud
wo mera sahil hai aur dariya hun main
us ne rasman jab bhi puchha mera haal
main ne tanzan kah diya achchha hun main
wo shajar tanha shajar chaupal ka
us shajar ka aaKHiri patta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.