sahra se aane wali hawaon mein ret hai
sahrā se aane vaalī havāoñ meñ ret hai
hijrat karūñgā gaañv se gaañv meñ ret hai
ai qais tere dasht ko itnī duā.eñ diiñ
kuchh bhī nahīñ hai merī duāoñ meñ ret hai
sahrā se ho ke baaġh meñ aayā huuñ sair ko
hāthoñ meñ phuul haiñ mire paañv meñ ret hai
muddat se merī aañkh meñ ik ḳhvāb hai muqīm
paanī meñ peḌ peḌ kī chhāñv meñ ret hai
mujh sā koī faqīr nahīñ hai ki jis ke paas
kashkol ret kā hai sadāoñ meñ ret hai
sahra se aane wali hawaon mein ret hai
hijrat karunga ganw se ganw mein ret hai
ai qais tere dasht ko itni duaen din
kuchh bhi nahin hai meri duaon mein ret hai
sahra se ho ke bagh mein aaya hun sair ko
hathon mein phul hain mere panw mein ret hai
muddat se meri aankh mein ek KHwab hai muqim
pani mein peD peD ki chhanw mein ret hai
mujh sa koi faqir nahin hai ki jis ke pas
kashkol ret ka hai sadaon mein ret hai
- Book : Dunya Zaad (Pg. 133)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.