sahra se na jangal ki kabhi KHak se uTThe
sahrā se na jangal kī kabhī ḳhaak se uTThe
ab ke vo bagūle ḳhas-o-ḳhāshāk se uTThe
barsegī vo ātish ki jhulas jā.eñge dariyā
ik abr agar dīda-e-nam-nāk se uTThe
go tū ne har ik shaḳhs ko miTTī se banāyā
par sañg ke paikar bhī tire chaak se uTThe
hai jin kī bulandī pe ḳhajil auj-e-surayyā
kuchh aise sitāre bhī mirī ḳhaak se uTThe
ik habs-e-balā-ḳhez garāñ thā so bil-āḳhir
ham sāda-sifat mahfil-e-chālāk se uTThe
tujh jism ko chhūne kā ye e'zāz hai jānāñ
ḳhushbū tirī utrī huī poshāk se uTThe
thī jin se falak-bos pahāḌoñ ko girānī
vo sadme bhī 'nāsir' dil-e-ġhamnāk se uTThe
sahra se na jangal ki kabhi KHak se uTThe
ab ke wo bagule KHas-o-KHashak se uTThe
barsegi wo aatish ki jhulas jaenge dariya
ek abr agar dida-e-nam-nak se uTThe
go tu ne har ek shaKHs ko miTTi se banaya
par sang ke paikar bhi tere chaak se uTThe
hai jin ki bulandi pe KHajil auj-e-surayya
kuchh aise sitare bhi meri KHak se uTThe
ek habs-e-bala-KHez garan tha so bil-aKHir
hum sada-sifat mahfil-e-chaalak se uTThe
tujh jism ko chhune ka ye e'zaz hai jaanan
KHushbu teri utri hui poshak se uTThe
thi jin se falak-bos pahaDon ko girani
wo sadme bhi 'nasir' dil-e-ghamnak se uTThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.