sahra se wapas aae hain Dube hain pyas mein
sahrÄ se vÄpas aa.e haiƱ Duube haiƱ pyaas meƱ
bhar do samundaroƱ ko hamÄre gilÄs meƱ
dil meƱ įø³hayÄl-e-įø³hÄk-e-tamannÄ liye hue
leTÄ huÄ hai kaun ye maile libÄs meƱ
maujoƱ kÄ lahja dekh ke mahsÅ«s ye huÄ
dariyÄ nahīƱ hai aaj to hosh-o-havÄs meƱ
apne hasÄ«n įø³hvÄb kÄ« ta.amÄ«r ke liye
bechÄ hai įø³hud ko maiƱ ne mahÄjan ke paas meƱ
'anvar' matÄ-e-dard kÄ« tÄrÄ«kiyÄƱ liye
aayÄ hai kitnÄ« duur ujÄloƱ kÄ« aas meƱ
sahra se wapas aae hain Dube hain pyas mein
bhar do samundaron ko hamare gilas mein
dil mein KHayal-e-KHak-e-tamanna liye hue
leTa hua hai kaun ye maile libas mein
maujon ka lahja dekh ke mahsus ye hua
dariya nahin hai aaj to hosh-o-hawas mein
apne hasin KHwab ki tamir ke liye
becha hai KHud ko main ne mahajan ke pas mein
'anwar' mata-e-dard ki tarikiyan liye
aaya hai kitni dur ujalon ki aas mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.