sahra to par kar liya dariya bhi par kar
sahrā to paar kar liyā dariyā bhī paar kar
kis ne kahā thā tujh se ki ishq iḳhtiyār kar
maiñ ne kahā thā shahr meñ ka.ī bā-vafā bhī haiñ
ye to nahīñ kahā thā ki jā e'tibār kar
bujhtā huā charāġh ye fariyād kar gayā
nafrat havā se aur charāġhoñ se pyaar kar
barsoñ se ik maqām pe Thahrā huuñ maiñ 'ḳhalīl'
us ne kahā thā ā.ūñgā tū intizār kar
sahra to par kar liya dariya bhi par kar
kis ne kaha tha tujh se ki ishq iKHtiyar kar
main ne kaha tha shahr mein kai ba-wafa bhi hain
ye to nahin kaha tha ki ja e'tibar kar
bujhta hua charagh ye fariyaad kar gaya
nafrat hawa se aur charaghon se pyar kar
barson se ek maqam pe Thahra hun main 'KHalil'
us ne kaha tha aaunga tu intizar kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.