sahraon ki pyas bujhane
sahrāoñ kī pyaas bujhāne
kab aa.e barsāt na jaane
mujh ko merī yaad dilāne
aa.e haiñ kuchh dost purāne
jaane ghar kis kis ke jaleñge
nikle haiñ vo jashn manāne
ḳhvāboñ kī vaadī meñ mile haiñ
biite lamhe guzre zamāne
vaqt ke TuuTe ā.īne meñ
chehre haiñ sab jaane pahchāne
tum se mile to yaad aayā hai
dekhe the kuchh ḳhvāb suhāne
raat kī bāñhoñ meñ khulte haiñ
terī yādoñ ke maiḳhāne
ummīdeñ ghar chhoḌ chukī thiiñ
kab aa.e haiñ hosh Thikāne
dasht kī jaltī ret pe 'ḳhusrav'
vaqt likhegā apne fasāne
sahraon ki pyas bujhane
kab aae barsat na jaane
mujh ko meri yaad dilane
aae hain kuchh dost purane
jaane ghar kis kis ke jalenge
nikle hain wo jashn manane
KHwabon ki wadi mein mile hain
bite lamhe guzre zamane
waqt ke TuTe aaine mein
chehre hain sab jaane pahchane
tum se mile to yaad aaya hai
dekhe the kuchh KHwab suhane
raat ki banhon mein khulte hain
teri yaadon ke maiKHane
ummiden ghar chhoD chuki thin
kab aae hain hosh Thikane
dasht ki jalti ret pe 'KHusraw'
waqt likhega apne fasane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.