sahraon mein bhi koi hamraaz gulon ka hai
sahrāoñ meñ bhī koī hamrāz guloñ kā hai
gulshan meñ koī rah kar ḳhushbū ko tarastā hai
ik din to khulegā ye darvāza-e-dil terā
ab dekhnā hai kab tak ehsās bhaTaktā hai
nīñdoñ ke makāñ meñ hai jis din se tirā chehra
khultī haiñ ye āñkheñ to ik ḳhauf sā lagtā hai
ik roz yahī kircheñ bīnā.iyāñ baḳhsheñgī
ye shīsha-e-dil tum ne kyā soch ke toḌā hai
kaise maiñ yaqīñ kar luuñ iḳhlās nahīñ baaqī
apnoñ kī adāvat kā ye hī to vasīla hai
jo hausla tūfāñ ko ik khel samajhtā thā
ab aap kī yādoñ ke dariyā meñ vo Duubā hai
saaqī kī tasallī bhī vājid hai nasha jaise
iḳhlās kā paikar hai aḳhlāq kā putlā hai
sahraon mein bhi koi hamraaz gulon ka hai
gulshan mein koi rah kar KHushbu ko tarasta hai
ek din to khulega ye darwaza-e-dil tera
ab dekhna hai kab tak ehsas bhaTakta hai
nindon ke makan mein hai jis din se tera chehra
khulti hain ye aankhen to ek KHauf sa lagta hai
ek roz yahi kirchen binaiyan baKHshengi
ye shisha-e-dil tum ne kya soch ke toDa hai
kaise main yaqin kar lun iKHlas nahin baqi
apnon ki adawat ka ye hi to wasila hai
jo hausla tufan ko ek khel samajhta tha
ab aap ki yaadon ke dariya mein wo Duba hai
saqi ki tasalli bhi wajid hai nasha jaise
iKHlas ka paikar hai aKHlaq ka putla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.