sahun na hijr ke sadme kabhi visal ke baad
sahun na hijr ke sadme kabhi visal ke baad
Sayyad Ameer Hasan Badr
MORE BYSayyad Ameer Hasan Badr
sahūñ na hijr ke sadme kabhī visāl ke baad
koī ḳhayāl nahīñ dil meñ is ḳhayāl ke baad
ġham-e-firāq nahīñ muzhda-e-visāl ke baad
shugūn-e-bad kā asar kyā ho nek-fāl ke ba.ad
kisī tarah to dahan kā subūt mil jaatā
javāb ek bhī dete vo sau savāl ke baad
fareb dene ko sayyād uḌā na be-par kī
bahār aa.egī gulshan meñ ek saal ke ba.ad
na phūlo mun.imo zartār hai agar malbūs
galīm oḌhte dekhā hai maiñ ne shaal ke ba.ad
kisī ko ab nahīñ mādūm ke vajūd meñ shak
khulā hai rāz-e-dahan laakh qīl-o-qāl ke ba.ad
ġhalat ye hai ki pas-e-ranj hotī hai rāhat
ḳhushī kā muñh nahīñ dekhā kabhī malāl ke baad
huzūr-e-dāvar-e-mahshar Thahar chuke qātil
ye bahs kaisī nikālī ab infi.āl ke ba.ad
yahāñ to aaj hī jiine ke paḌ ga.e laale
shabāb aa.egā zālim kā chand saal ke ba.ad
vo shoḳh ahd-shikan bhī hai ai dil-e-nādāñ
ġham-e-firāq bhī hai muzhda-e-visāl ke ba.ad
huā hai be-hama vo shoḳh bāhama ho kar
firāq ho gayā madd-e-nazar visāl ke baad
tumhārī zulf kā saudā thā kyā junūñ-afzā
mizāj raah par aaya na iḳhtilāl ke baad
jo qurb-tar thā rag-e-jāñ se vo hai arsh-nashīñ
huiiñ haiñ dūriyāñ paidā ye ittisāl ke baad
ḳhayāl mizhgāñ kā nashtar-shikan rahe dil meñ
ki zaḳhm meñ na rahe chuur indimāl ke baad
ḳhabar nahīñ tujhe ai chashm-e-shauq-e-dīd-talab
baḌheñgī ārzūeñ aur dekh-bhāl ke baad
yahī haiñ lail-o-nahār ai falak ġharīboñ ke
milā bhī vo mah-e-kāmil to māh-o-sāl ke ba.ad
ye aa ke bai.at-e-dast-e-subū agar kar le
banā.ūñ pīr-e-muġhāñ shaiḳh ko kalāl ke baad
jo yād-e-nargis-e-jādū ho dasht-e-ġhurbat meñ
uḌā.ūñ ḳhaak maiñ gard-e-ram-e-ġhazāl ke baad
chaḌhā.īñ tyoriyāñ kyā kyā na jā-e-chādar-e-gul
jo aa.e bhī sar-e-turbat vo intiqāl ke baad
numū-e-ḳhat huā ḳhurshīd-e-husn Dhalne lagā
zavāl kā huā āġhāz lo kamāl ke baad
maiñ dil ko detā huuñ taskīñ ye hijr meñ kah kar
mileñgī rāhateñ ranj-o-ġham-o-malāl ke ba.ad
asīr-e-dām kiyā mujh ko hirs-e-dāna ne
farefta huā gesū kā ishq-e-ḳhāl ke ba.ad
ġharīb-ḳhāna to daulat-sarā ke hai nazdīk
kabhī guzar ho idhar bhī to māh-o-sāl ke ba.ad
na bhūlnā shab-e-furqat kī talḳh-kāmī ko
maza kuchh aur bhī hai lazzat-e-visāl ke baad
ye aabrū kī hai qīmat atā na kah is ko
diyā gadā ko agar tū ne kuchh savāl ke baad
ḳhamīda shakl-e-mah-e-nau huā huuñ piirī meñ
zavāl 'badr' ko hone lagā kamāl ke baad
qamar kī tarah na hoñ kāhisheñ kabhī us ko
zavāl 'badr' ko yā-rab na ho kamāl ke ba.ad
sahun na hijr ke sadme kabhi visal ke baad
koi KHayal nahin dil mein is KHayal ke baad
gham-e-firaq nahin muzhda-e-visal ke baad
shugun-e-bad ka asar kya ho nek-fal ke baad
kisi tarah to dahan ka subut mil jata
jawab ek bhi dete wo sau sawal ke baad
fareb dene ko sayyaad uDa na be-par ki
bahaar aaegi gulshan mein ek sal ke baad
na phulo munimo zartar hai agar malbus
galim oDhte dekha hai main ne shaal ke baad
kisi ko ab nahin madum ke wajud mein shak
khula hai raaz-e-dahan lakh qil-o-qal ke baad
ghalat ye hai ki pas-e-ranj hoti hai rahat
KHushi ka munh nahin dekha kabhi malal ke baad
huzur-e-dawar-e-mahshar Thahar chuke qatil
ye bahs kaisi nikali ab infial ke baad
yahan to aaj hi jine ke paD gae lale
shabab aaega zalim ka chand sal ke baad
wo shoKH ahd-shikan bhi hai ai dil-e-nadan
gham-e-firaq bhi hai muzhda-e-visal ke baad
hua hai be-hama wo shoKH bahama ho kar
firaq ho gaya madd-e-nazar visal ke baad
tumhaari zulf ka sauda tha kya junun-afza
mizaj rah par aaya na iKHtilal ke baad
jo qurb-tar tha rag-e-jaan se wo hai arsh-nashin
huin hain duriyan paida ye ittisal ke baad
KHayal mizhgan ka nashtar-shikan rahe dil mein
ki zaKHm mein na rahe chur indimal ke baad
KHabar nahin tujhe ai chashm-e-shauq-e-did-talab
baDhengi aarzuen aur dekh-bhaal ke baad
yahi hain lail-o-nahaar ai falak gharibon ke
mila bhi wo mah-e-kaamil to mah-o-sal ke baad
ye aa ke baiat-e-dast-e-subu agar kar le
banaun pir-e-mughan shaiKH ko kalal ke baad
jo yaad-e-nargis-e-jadu ho dasht-e-ghurbat mein
uDaun KHak main gard-e-ram-e-ghazal ke baad
chaDhain tyoriyan kya kya na ja-e-chadar-e-gul
jo aae bhi sar-e-turbat wo intiqal ke baad
numu-e-KHat hua KHurshid-e-husn Dhalne laga
zawal ka hua aaghaz lo kamal ke baad
main dil ko deta hun taskin ye hijr mein kah kar
milengi rahaten ranj-o-gham-o-malal ke baad
asir-e-dam kiya mujh ko hirs-e-dana ne
farefta hua gesu ka ishq-e-KHal ke baad
gharib-KHana to daulat-sara ke hai nazdik
kabhi guzar ho idhar bhi to mah-o-sal ke baad
na bhulna shab-e-furqat ki talKH-kaami ko
maza kuchh aur bhi hai lazzat-e-visal ke baad
ye aabru ki hai qimat ata na kah is ko
diya gada ko agar tu ne kuchh sawal ke baad
KHamida shakl-e-mah-e-nau hua hun piri mein
zawal 'badr' ko hone laga kamal ke baad
qamar ki tarah na hon kahishen kabhi us ko
zawal 'badr' ko ya-rab na ho kamal ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.