said ko rashk-e-chaman dam ne rahne na diya
said ko rashk-e-chaman daam ne rahne na diyā
naġhma-ḳhvāñ qiad-e-bad-anjām ne rahne na diyā
apne saa.e ke ta'āqub meñ rahe the din-bhar
vo bhī ab tīrgi-e-shām ne rahne na diyā
kuchh mire dil kā sukūñ nazr-e-ġham-e-yār huā
jo bachā gardish-e-ayyām ne rahne na diyā
maiñ ne kab kī haiñ kisī ġhair se dil kī bāteñ
raaz ko raaz dar-o-bām ne rahne na diyā
'umr-bhar chain se mujh ko kabhī ik lamha mire
us dil-e-tishna-e-lab-e-kām ne rahne na diyā
terī furqat meñ kisī taur bhī rah lete magar
ġhair ke saath tire naam ne rahne na diyā
jaañ se guzrīñ haiñ pa ġham hai to usī baat kā hai
mujh ko mere hī ḳhush-andām ne rahne na diyā
ḳhud tirā 'aks kahīñ tujh ko pareshāñ na kare
sach kā ā.īna tire sāmne rahne na diyā
ham-nafas us kā mujhe aur mujhe us kā 'haqīr'
dil meñ palte hue auhām ne rahne na diyā
said ko rashk-e-chaman dam ne rahne na diya
naghma-KHwan qiad-e-bad-anjam ne rahne na diya
apne sae ke ta'aqub mein rahe the din-bhar
wo bhi ab tirgi-e-sham ne rahne na diya
kuchh mere dil ka sukun nazr-e-gham-e-yar hua
jo bacha gardish-e-ayyam ne rahne na diya
main ne kab ki hain kisi ghair se dil ki baaten
raaz ko raaz dar-o-baam ne rahne na diya
'umr-bhar chain se mujh ko kabhi ek lamha mere
us dil-e-tishna-e-lab-e-kaam ne rahne na diya
teri furqat mein kisi taur bhi rah lete magar
ghair ke sath tere nam ne rahne na diya
jaan se guzrin hain pa gham hai to usi baat ka hai
mujh ko mere hi KHush-andam ne rahne na diya
KHud tera 'aks kahin tujh ko pareshan na kare
sach ka aaina tere samne rahne na diya
ham-nafas us ka mujhe aur mujhe us ka 'haqir'
dil mein palte hue auham ne rahne na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.